Tuesday, 14 August 2012

ISS AZADI MEIN KIA RAKHA HAI

Jin logon nay Pakinstan kay liye jaan o maal ki qurbaniyan dien aj woh hum mein shamil nahin. Lekin jis umeed pr un nay aik alag mulk ka mutalba kia tha woh tu shaid aj kahin bhi nazar nahin aati. Na tu yahan ISLAM ka bool bala hai phir Islami Jamhooriat e pakistan mein kia rakha hai?


jahan soch hi ghulamana ho
 wahan jismani azadi mein kia rakha hai

5 saal lan tan aur phir wohi hukmaran
  iss election kay tamashay mein kia rakha hai

nawaz ho imran ho ya zardari hi sadar mera
 is nam kay hair phair mein  kia rakha hai

awam lut gayi hukmarano kay hathon
  ab iss jamhoriat mein kia rakha hai

jahan islam aemal mein shamil hi nahin
us islami jamhooria mein  kia rakha  hai

london ki pali ban gayi dukhtar e mashriq
   aafia kay beti honay mein  kia rakha hai

bhutto aj bhi zinda hai yahan
 karachi kay qatal o aam mein  kia rakha hai

apnay mulk mein drone nahin rukwa saktay
 wahan barma kay muslamanon mein  kia rakha hai

jahan bazaron say avainon tak chor baithay hain
 us QAID kay pakistan mein  kia rakha hai

jinhon nay qaid kardia mohsin e awam ko
 us awam kay iqdar mein kia rakha hai

wohi chehray, wohi asool, rahain gay yahan
 ab tabdeeli kay naroon mein kia rakha  hai

han, na umeedi gunah hai shahbaz
 per iss umeed mein ab kia rakha hai


No comments:

Post a Comment