Wednesday, 20 February 2013

INSAN BAN

Hamein Insan paida kia tu jata hai, lekin shayad hi zameen per chalnay wala koi bhi yeh dawa kar sakay kay woh insan hai. Insan iss baat per tu buhut fakhar karta hai kay ussey Ashraf ul Makhoolaqat banaya gaya hai, lekin kia woh iss khatab ka haqdar hai?

Hum nay kabhi socha hai kay kiyun farishton ko Adam (a.s) ko sajda karnay ka hukam hua? jab kay Adam(a.s) ko matti say banay gaya tha aur farishtay ko Noor say banaya gaya tha, tu banawat kay lehaz say tu farishtay - insan say behtar huye...Aur Adam nay phir tu bhi na-farmani ki thi aur farishtay tu iss had tak farmanbadar thay kay unhon nay farman e Elahi per mitti kay putlay ko bhi Sajda kia tha.

Asal baat yeh kay hai Farishtay, insan ko daikh kar dang rah gaye thay. Unhein ALLAH ki takhleeqi salahiyat per koi shak nai tha, magar woh hairan iss baat per thay kay yeh tazad ka putla kaisay zameen per ALLAH ka bandar ban kar rahay ga. Insan honay ka matlab yeh kay qabliat hotay huye bhi kisi kaam karnay say sirf iss liye baaz rahna kay ALLAH nay manna kia hai. Yehi Khudadaad salahiyat banday ko gunah karnay per uksati hai, woh bay-chan rehta hai kay kiyun ussay iss cheez say baaz rakha gaya? aur yeh jananay ki koshish mein woh gunah kar baithta hai.... issi cheez nay adam ko bhi shajar e mamnooa kay paas janay per uksaya tha aur aaj tak latadad insan na janay kis kis shajar e mamnooa kay paas ja chukay hain.

Jhoot, hirs, dhoka, fasad, insan kashi, khoon raizi, yeh sab insan ki ghutti mein shamil hai. Kahtay hain janwar kay paas aqal  nai hoti, aur farishton ko kisi cheez ki khuwaish nai hoti. Agar insan apni aqal kho day tu woh janwar ban jata hai, aur agar insan apni khuwaish per qabo pa lay tu woh farishta ban jata hai. Lekin meray kahayal mein Insan ka rutba iss liye farishton say behtar hai kiyunkay: Inhein apni janwaron wali khasoosiat, aur khuwaish (Nafs) donon say larna parta hai.

Insan ki zindagi aik mukamal azmaish ka naam hai. Jo apnay ajza mein mujood tazad per qaboo paa laita hai, woh FALAH kay rastay ko paa laita hai.

Mein sirf itna hi kahon ga zindagi mein Docotr, Engineer, Accountant bananay say pehlay INSAN BAN JAEIN....

No comments:

Post a Comment