![]() |
| "doing politics is like watching a horror movie" |
"zara nam hu tu yeh mitti bari zarkheez hai saqi"
Ab intezar is baat ka hai, kay pani dainay wala baghban kon hoga aur kab ayega? Siyasi mahireen apni umeed Imran Khan aur Mian Nawaz Sharif say lagaye baithaty hain, jab kay jamat e islami hartalon aur aihtajaj mein hamesha sab say agay hoti hai.
Wazeer e azam tu Wazeer e azam, puri kabeena hi saroor mein maloom hoti hai. Wazeer e azam kay parliament say khitab kay doran Firdous Aashiq Awan kay danton nay andar janay say barmala inkar kardia tha aur yahan par urdu ki misal yaad aati hai kay "woh khushi say phooli nahin sama rahein theen". Araqeen nay desk baja baja kar Gillani sahab kay biyan ka khair maqdam kia aur desk say uthnay wali yeh awazein is baat ka saboot theen kay labeeq ya wazeer e azam,hum sab hi saroor mein hain. Agar araqeen e parliament kay hathon kay desk say taqranay ki gonj, sachai, ghairat, izzat, sharam kay kanoon mein par jati tu woh sharam say choor choor ho jatay. Kaash koi in araqeen ko iss sahar say bahir nikalay, jis khuwab mein yeh sab sans lay rahay hain woh sheeshay say bhi ziada nazuk hai, jo faqt in kay ankh kholnay par toot jaye ga.
Ab awam ko hosh mandi ka muzahira kartay huay in bahayi kay putloon ko aiwanon say bahir nikalna hai. Tabdeeli kay naaron ko amal mein badalna hoga aur in baa'da khoron ko in kay saqi sameet in kay anjam tak poonchana hai.
mustaqbil kay liye zinda rah kay geo.........................
wazeer e azam, babar awan aur na janay kitnay aur log "ahd e sadar" ko nibhatay nibhatay apni izzat aur shurut say hath do baithay lekin iss sab kay bawajood bhutto aj bhi zinda hai..............

hahaha achi class ki hukmaranon ki. victory.
ReplyDeletethanx
Deletelibya aur iran donnon mein chahe jaisi bhi hoon aik munahzam koom basti thi.Pakistan aik aisi riasat hai jis mein tareekhi toor par aik munahzam koom nahi basti thi balke is khite mein mukhtalif tehzeebon aur sakhawatoon se taluq rakhne waale mukhtalif grooh abaad rahe hain jabke jin mumaliq ka aap ne tazkarah kia un riastoon ne tareekhi toor par aik mutahid koum ko apne andar samoye rakha hai.Humme aik aise leader ki zaroorat hai jo humme qabailiyat,sobaiyat,mazahabi aur khandani firqwariyat se azaad karakar humme aik mutahid koum banaye takai hamari tarjeehat aik hoon.jab aap bante hoote hain tou aap ke mafaad alaihda alaihda hoote hain aur aap kabhi kabhi kisi aik cheez ko apni hatmi manzil nahi mante kyounke har grooh ke liye manzil kuch aur hooti hai.aur is cheez ka faida siasatdanoon aur bairooni taqatoon ko hota hai kyounke aap ke beech ki naitafaqi un ke faida mein hooti hai,woh kisi aik grooh ke mafaad poore kar ke apne mafad hasil kar laite hain.jab aap aik koum ban kar sochne lagain ge aap apne apne inqalaab ki janib chalne lage ge.
ReplyDeleteagar tamam nojawan ap jaisi musabt soch ka hamil ho jaein tu INSHALLAH woh leader bhi paida ho jaein gay, jin gi hamein zaroorat hai
ReplyDeletefizae badar paida kar farishtay aj bhi teri nusrat ko
utar saktay hain qataran ba qatar