Saturday, 28 April 2012

Yeh Jo Halka Halka Saroor Hai


"doing politics is like watching a horror movie"
    Zindagi kay kisi na kisi pahar mein har koi,  kisi Halkay say saroor mein rehta hai, kuch aisi hi kafiyat aj kal hamaray wazeer e azam, Yousaf Raza Gillani sahab ki bhi hai. Woh abhi tak apni kursi kay khumar say bahir nai a pa rahay aur woh yeh tasleem karnay say bhi kasir hain kay ab woh aik SAZA YAFTA pakistani hain. Unehin apni awami "maqoboliat" par andha yaqeen hai, lekin woh yeh nahin jantay kay aisa hi aitmad   SHAH E IRAN aur MOMMAR AL QADAFFI ko bhi tha, lekin jab awam mushtail ho jaye tu phir taj e iran ko pairon mein rond dia jata hai aur Libiya ka sadar ko zilat ki mout mara jata hai. Aur phir pakistani awam tu Josh, Jazbay, Ghairat main apna sani nahin rakhti, In nojawano kay baray mein tu Allama Iqbal nay farmaya hai

         "zara nam hu tu yeh mitti bari zarkheez hai saqi"
Ab intezar is baat ka hai, kay pani dainay wala baghban kon hoga aur kab ayega Siyasi mahireen apni umeed Imran Khan aur Mian Nawaz Sharif say lagaye baithaty hain, jab kay jamat e islami hartalon aur aihtajaj mein hamesha sab say agay hoti hai.

Altaf Hussain to hamesha hi halkay halkay saroor mein rahtay hain, aur un ka saroor baki sab say ziada khatarnak hai. Tazzad tu azal say hi insani fitrat ka hisa raha hai, Gillani sahab kay parlimani khitab ko jahan awami halkon mein, bayghairti, baysharmi, bayhayai aur jitnay bhi "bay" hain, say nawaza gaya. Waheen almi shouhrat rakhnay walay Altaf bhai ko yehi kisi manjhay huay shair ki khoubsart ghazal say kam nahin laga, unhon nay saroor kay zair e asar issay "muntaqi aur mutasir kun" jaisay alqabat say nawaza hai. Meray khayal mein inhon nay iss khatab ko "hairan kun " kahna tha lekin saroor kay nateejay mein ghalat ilfaz ka istemal kar lia.

                  Wazeer e azam tu Wazeer e azam, puri kabeena hi saroor mein maloom hoti hai. Wazeer e azam kay parliament say khitab kay doran Firdous Aashiq Awan kay danton nay andar janay say barmala inkar kardia tha aur yahan par urdu ki misal yaad aati hai kay "woh khushi say phooli nahin sama rahein theen". Araqeen nay desk baja baja kar Gillani sahab kay biyan ka khair maqdam kia aur desk say uthnay wali yeh awazein is baat ka saboot theen kay labeeq ya wazeer e azam,hum sab hi saroor mein hain. Agar araqeen e parliament kay hathon kay desk say taqranay ki gonj, sachai, ghairat, izzat, sharam kay kanoon mein par jati tu woh sharam say choor choor ho jatay. Kaash koi in araqeen ko iss sahar say bahir nikalay, jis khuwab mein yeh sab sans lay rahay hain woh sheeshay say bhi ziada nazuk hai, jo faqt in kay ankh kholnay par toot jaye ga.
                 Ab awam ko hosh mandi ka muzahira kartay huay in bahayi kay putloon ko aiwanon say bahir nikalna hai. Tabdeeli kay naaron ko amal mein badalna hoga aur in baa'da khoron ko in kay saqi sameet in kay anjam tak poonchana hai.
                                 mustaqbil kay liye zinda rah kay geo.........................
wazeer e azam, babar awan aur na janay kitnay aur log "ahd e sadar" ko nibhatay nibhatay apni izzat aur shurut say hath do baithay lekin iss sab kay bawajood bhutto aj bhi zinda hai..............

4 comments:

  1. hahaha achi class ki hukmaranon ki. victory.

    ReplyDelete
  2. libya aur iran donnon mein chahe jaisi bhi hoon aik munahzam koom basti thi.Pakistan aik aisi riasat hai jis mein tareekhi toor par aik munahzam koom nahi basti thi balke is khite mein mukhtalif tehzeebon aur sakhawatoon se taluq rakhne waale mukhtalif grooh abaad rahe hain jabke jin mumaliq ka aap ne tazkarah kia un riastoon ne tareekhi toor par aik mutahid koum ko apne andar samoye rakha hai.Humme aik aise leader ki zaroorat hai jo humme qabailiyat,sobaiyat,mazahabi aur khandani firqwariyat se azaad karakar humme aik mutahid koum banaye takai hamari tarjeehat aik hoon.jab aap bante hoote hain tou aap ke mafaad alaihda alaihda hoote hain aur aap kabhi kabhi kisi aik cheez ko apni hatmi manzil nahi mante kyounke har grooh ke liye manzil kuch aur hooti hai.aur is cheez ka faida siasatdanoon aur bairooni taqatoon ko hota hai kyounke aap ke beech ki naitafaqi un ke faida mein hooti hai,woh kisi aik grooh ke mafaad poore kar ke apne mafad hasil kar laite hain.jab aap aik koum ban kar sochne lagain ge aap apne apne inqalaab ki janib chalne lage ge.

    ReplyDelete
  3. agar tamam nojawan ap jaisi musabt soch ka hamil ho jaein tu INSHALLAH woh leader bhi paida ho jaein gay, jin gi hamein zaroorat hai
    fizae badar paida kar farishtay aj bhi teri nusrat ko
    utar saktay hain qataran ba qatar

    ReplyDelete