Wednesday, 25 April 2012

WOH AIK LAMHA

woh aik lamha
2005 mein aik holnak zalzalay nay pakistan kay shumali alaqa jat ko apni lapait mein lay lia. Mumalat e zindagi muatal ho kar rah gaye thay, lokon nay nazron kay samna apnay azizon ko zameen kay darmayan atay daikha, apnay gharon ko zameen boos hotay daikha, zindagion ko karchion ki tarah bikhartay huay aur pairon talay roondtay daikha.....is sab ka 2005 mein aik 10 saala bachay par kia asar para, woh apki paish e khidmat hai......




zalzala aya ik 8 october ko
   wadi e kashmir ko khandar bana gaya woh
pankh thay uskay itnay lambay
   sab ko bitha kar lay giya woh
dil mein uskay thi na koi mamta
   mamta ko tou peechar gaya woh
dil tou uska tha hi pathar
    insan ko bhi pathra gay woh
sochon say agay gi sochein
   ham sab ko day gaya woh
unkahay unsunay lafzon mein
   zindagi ki haqeeqat samjha gaya woh
youn waqt say pahlay hi manzar e qiyamat dikhla gaya woh
    bus ALLAH ki marzi kay agay hum sab ko jhuka gaya wohdate of publication 2005

No comments:

Post a Comment