akhir mein kon hun? sochon ka silsila hamesha taveel hota hai, insan agar matiali chiriyon ko apni ham rang zameen mein atkhalian kartay daikhay aur sochnay lagay tu yeh safar un chirion ki sadgi say shuru ho kar un kay KHALIIQ ki hikmat, takhleeq aur bazurgi par ja kar rokta hai, mainey bhi apni zindagi kay 16 saloon main aj pahli bar socha tha kay akhir jasir shahbaz hai kon? yeh janawaron say mushabat rakhnay wala lekin sochnay ki silahiat say labrez hai kon?
Abhi mein soch hi raha tha kay meray andar kay pur waqar aur khud parast insan ki awaz gonji, woh mujh say kuch youn mukhatib hua kay
aray tum phoochtay kay ho mein kon hon? mein baghair paroon kay hawa mein urnay wala parinda hun, mein chand par qadam rakhnay wala insan hun, mein woh zahan hun jisnay saib kay girnay say qudrati kashish ka andaza laga lia tha, aray mainey tu teen haroof ko istimal kartay huay aisi tabah kun cheez bana li kay uss say har cheez nist o nabod ho jaye (e=mc2), main woh hun jo chand sala zindagi mein
bai panah malo o dolat akhati kar laita hun aur tum poochtay ho kay mein kon hoo.
bai panah malo o dolat akhati kar laita hun aur tum poochtay ho kay mein kon hoo.
Main ussay kahnay ki jasarat karnay hi wala tha kay bhai ap tu ghusa hi kar gaye ,lekin itnay mein jaisay mujhey sawal ka jawab mil gaya hoo, mein apni aik tang zameen say uthai aur sataishi nazron say apni tagon ki taraf daikha kay mujhey apnay jism par itni qudrat hai kay mein usay jaisay chahey istimal karon lekin jab mainey dosri tang bhi hawa mein uthanay laga tu aik dhamaky say maira
jist e khaki zameen par ja gira, Aur yaheen say Us Pak zaat ki majoodgi ka ehsas hota hai
ALLAH nay insan ko qudrat aur majboori kay darmayan paida kia hai, usko itni kabliyat tuy hasil hay kau woh apni aik tang hawa mein utha lay lekin is kay sath hi dosri tang uthanay ki khuwaish usay zameen par gira kar uski aukat yaad dila daiti hai.
Main aag pani mati aur hawa ka majmoa hun aur yehi tazaad meri fitrat mein paya jata hai: aag unchai ki taraf jati hai jab kay mati ka rukh tanazali ki janib hota hai. DORIS LESSING kay mutaqib insan ki fitrat mein mujood yeh tazad usay rational thinking say rookay rakhta hai, acha tu jab insan rationally soch nai sakta tu phir usay apni aqal par itna naz kiyun hai?
Meri nazar main tu meri sari qabliat, mera gharoor aik sans ka muhtaj hai ju a jaye tu mein jasir shahbaz hun aur na aye tu mein kuch bhi nai......................
Insan khak say bana hai aur us mein hi jana hai phir yeh aag ki tarah unchaion ki bay ja khuwaish kaisi, insan sari zindagi jin qeeray maqooron ko haqarat ki nazar say daikhta hai, akhir kar usay un kay rahm o karam par hi chor dia jata hai, insan ko tu ajazi ka namoona hona chahiye
Ajazi say mujhey aik baat yad agayi kay jab HAZRAT MUHAMMAD (P.B.U.H) mairaj par tashreef lay gaye tu ALLAH nay sawal kia kay mere liye kia laye hu......ab insan jab kisi ko tufa daita hai tu koi aisi cheez daita hai jo dosray kay pas na hoo, ab ALLAH jis nay har cheez paida ki hai us kay karkhanon mein kis cheez ki kami hai? tu HAZRAT MUHAMMAD (P.B.U.H) nay jawab dia mein ap kay liye ajazi laya hun.
jo ala zarf hotey hain hamesha jhuk kay miltay hain
surahi sar nagoon ho kar bara karti hai paymana
jo ala zarf hotey hain hamesha jhuk kay miltay hain
surahi sar nagoon ho kar bara karti hai paymana
ap chahye akhrat par yaqeen rakhain ya na rakhain marna tu sab nay hai
"Kul o Nafsin Zaiqa tul Maut"
"Indeed! Every living thing will die"
Har zee roh ne Maut ka maza chhakhna hai. Al-Quran
punjabi mein misal mashoor hai
teri teri teri.....meri meri meri
nay teri na meri ay duniya khak di thairi
insan jitna marzi uncha lamba hassen o jameel ho jaye aik waqt kay baad us nay sab say parda kar laina hai........KI PAL DA BHAROSA YAR DUM AWAY NA AWAY
mein aur ap tu iss khail main kuch bhi nahin hain...........hamari zaat tu aik "zara e bay nishan hai"
"Indeed! Every living thing will die"
Har zee roh ne Maut ka maza chhakhna hai. Al-Quran
punjabi mein misal mashoor hai
teri teri teri.....meri meri meri
nay teri na meri ay duniya khak di thairi
insan jitna marzi uncha lamba hassen o jameel ho jaye aik waqt kay baad us nay sab say parda kar laina hai........KI PAL DA BHAROSA YAR DUM AWAY NA AWAY
mein aur ap tu iss khail main kuch bhi nahin hain...........hamari zaat tu aik "zara e bay nishan hai"
No comments:
Post a Comment