Thursday, 28 June 2012

Musalman\mushrik


Musalmanon ko bachpan say hi yeh sikha dia jata hai kay SHIRK aik na qabil e mafi gunah hai. Kisi ko bhi  ALLAH kay barabar shareek tharana, ya us ki ibadat karna shirk kay zumray mein shumar hota hai. Musalmanon ka yeh aqeeda hai kay woh ALLAH ki wahdaniat (touheed)  par yaqeen rakhtay hain, aur is aitqad ki buniyad par woh yeh ghuman bhi nahin kar saktay kay woh iss gunah kay mortaqib bhi ho saktay hain.
Lekin meray khayal mein aj har musalman shirk karnay mein kisi na kisi tarah mashgool hai. Agar ham pathar kay banaye huay بتو ں  ki pooja nahin kartay tu kia hua, hum nay apnay dilon mein havas, lalach, hasad, jhoot, dikhawa,zulm,zar,jins kay jo putlay bana rakhay hain, kia hum un ki pooja mein masroof nahin?
A
j kay dour kay bachon say lay kar borhon tak sab hi mada parasti mein mashgool hain.
 Musalman ka iman kalma e tauheed  pr khara hota hai

الله کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں
is ka matlab yeh hai kay ALLAH say hota aur ALLAH kay ghair say nahin hota. Lekin hamara kamal to daikahin kay hum yeh kalma bhi parhtay hain aur issi kay sath duniavi khudaon say apnay masail kay hal hona ka yaqeen bhi rakhtay hain. hamaray han jab bhi  koi kaam parta hai tu hum jhat say kahtay hain "koi fikar wali baat nai uss mahkamay mein meray abbu kay khalo kay chacha kay aik bohat hi achay dost kam kartay hain" hum itna lamba connection tu dhoont laitay hain lekin yeh nahin sochtay kay in sab ka malik tu hamari sharagh say bhi kareeb hai, hum uss say faryad kiyun nahin kartay? agar hamaray dilon mein yeh yaqeen nahin kay makhloq koi bhi kam karnay mein ALLAH ki muhtaj hai tu phir yeh shirk hua na? agar hum kalma tayeeba ko nahin man rahay tu yeh bhi tu shirk hua na?Aj jis ko dekho woh doulat kay hasool kay liye sar dhari ki bazi laganay kay liye tiyar hai,  woh Halal Haram har tareeqay say kumana chahtha hai, jab kay ALLAH nay jitna rizk us ki kismat mein likha hai woh us ko sirf halal tareeqay say bhi kuma sakta hai.

" بر ا ہیمی نظر " ka matlab woh baseerat hai jo aag mein apnay Mehboob Rab ki ramhat aur shafqat daikh laiti hai lekin afsoos kay aj hum na tu "ahle e wafa" hain "aur na hi ahl e junoon".
dolat ko poojnay ka matlab yeh hai kay insan us ki ghulami karta hai. Us kay hasool mein insan namaz chor daita hai, logon kay haqooq puray nahin karta, khairat nahin karta, jhoot bolta hai, na jaiz tareeqay apnata hai, ab ap hi sochain kay kia yeh ALLAH ki عطا ت hai ya dolat ki?
Zara sochain kay hum apni zindagi iss khumari mein guzar rahay hain kay hum mushrik nahin lekin kia hamari zindagi waqayie hi Kalma e tauheed kay mutabiq hai?
kia ap muslaman hotay huey bhi mushrik tou nahin?
Is duniya mein jan laina mout kay bad jananay say behtar hai.
ALLAH mujhey aur ap ko shirk jaisay gunah say bachaye  (ameen)

No comments:

Post a Comment