Log kahtay hain kay kisi ko yaad karnay ka taluq waqt say hota hai. Jab taluq naya hota hai tu log buhut yaad atay hain, phir ahista ahista iss ki shiddat mein kammi ati hai aur phir aik waqt aisa ata hai kay woh taluq hamari yaad ka na tamam hissa ban kar reh jata hai.
Ab daikho hamey bichray huye zamanay beet gaye aur yeh خط likhtay huye tum na janay kitnay dinon baad yad aye ho.
Tum say pehli baar milnay kay baad jo meray dil o dimagh kay sath hua; woh sirf mein hi janta hun. Tum lamha ba lamha yaad atay thay, shor mein khamoshi mein har waqt tumhari awaz kanoon mein رسس gholti thi, phir tum har baat mein yaad atay thay, jaisay tum meray jism ka hissa ho aur har yaad tum say juri جڑی ho, phir aisa waqt aya kay jab din dhalnay lagta tha aur sham pehlnay lagti thi, jab panchi apnay ashiyanon آشیانوں ko wapis غول ki surat mein ja rahay hotay thay, soraj zameen say kat kar, paani mein dob raha hota tha, aur nazar dhundla jati thi, Tab Tum buhut yaad atay thay...... Phir raat ko sootay سوتے waqt, chand say batein kartay huye, har taraf pehlay huye sanaton mein, dor say kahin kisi kay pairon talay aye آے huye khizan خزاں kay patoon ki awaz say mahool mein paida honey wali baychani say Tum buhut yaad atay thay....Lekin phir is mamool mein tabdeeli ayi, tum din kay kisi hissay mein kisi na kisi baat say yaad a jatay thay, Phir tum say juri hui tamam batein khatam ho gayein to.Tum itwar ko yaad atay thay, jaisay koi kaam sara hafta adhoora reh gaya ho aur ussay jan boojh جان بوجھ kar itwar tak latkaya ho. Phir yeh kaam bhi ahista ahista khatam hogaya,Han lekin tum mujhey har maah aik baar tu yaad a hi jatay thay, koi ashna baat, ashna awaz, ashna chehra tumhari yaad dila daita tha, aur phir na janay yeh saray ashna bhi kahan chalay gaye?
Lekin tumhari saal girah mujhey hamesha yaad rehti hai aur uss din mein tumhey dil bhar kar yaad karta hun,Lekin ab tu mujhey tumhari sall griah bhi bhoolni lag gai گئی hai, yaad karnay per bhi yaad nai ata kay tum kis din kis maheenay mein paida ہوۓ thay.......
Han log theek hi kahtay thay, Ab tu yun lagta hai jaisay tum kabhi milay hi nai thay, aur buhut sochnay per bhi tumhari awaz tumhara chehra, tumhara guftugo karnay ka andaaz yaad nai ata, Tumhari yaad bilkul dhundli hogai hai, jaisay woh sab chand ratein khatam hogai hain aur un panchiyon nay kahin aur baseera kar lia hai, daikho Waqt guzurnay kay sath sath mainay tumhay bhoola dia hai.... Khuda tumhari nayi zindagi ko khushiyon say bhar day
(ameen)
(nahin yeh sab likhnay mein jitna asan hai utnaاتنا haqeeqat mein nai, tumharay baghair mein adhoora hun, yun lagta hai jaisay meri rooh ka kuch hisaحصّہ kaheen peechay buhut door reh gaya hai, aur mur mur kar daikhnay per bhi woh nazar nai ata, lekin tumhari yaad tu ab sans kay sath jur chuki hai, mein tumhay kabhi nai bhool sakta, waqt guzarnay say kabhi piyar ki shiddat mein kami nai hoti, tumharay chalay janay kay baad waqt tham say gaya hai, yaadein- soch waheen ruk gayi hai jaisay yeh ankehin umar bhar kay liye tumharay haseen chehray per markooz ho gai hun aur inhein kuch aur nai dikhai daita, nahin mainey tumhey bhulana ki bohit koshish ki lekin is adhoray wajood kay sath rehna ajheeran hogaya tha. yeh sab kahnay ki batein hain mein tumhey nai BHOLAبھولا SAKTA سکتا ...... yehi عشق لاحاصل insan ko pagal pan per majboor kar daita hai, yeh batein kiyun tum say ro baro رو برو nai ho sakteen???)

No comments:
Post a Comment