Friday, 23 November 2012

Senseless

Aaj mein tandoor par kulchon kay tiyar honay ka intezar kar raha tha, kay meray kaan mein aik bachay ki awaz pari. Us nay tanadoor ki taraf dekhtay huay aur uski hidat ko mehsoos kartay huay, waheen nazrein jamaye rakhtey huay apnay baap say poocha,
"papa inkay haath nai jaltay?" 
uskay baap nay isay ghair zaroori sawal samjha kiyun kay iss say uskay bachay ki zehni nash o numa ka koi taaluq nai tha aur na hi yeh baat uskay nisab mein shamil thi. Us nay bay fikari say apnay kandhay uchkatay huay us sawal ko nazar andaaaz kardia......
Lekin us bachay ka sawaal kafi dair tak mujhey pareeshan karta raha, aur akhir kar mein iss nateejay par pooncha kay in no jawanuoon نو جوانون  nay issay apna noshta e taqdeer  نوشتہ  تقدیر (un cheezon ko kahtay hain jo insan kay ikhtiyar say bahir hun)  man lia hai. Aur taqdeer say iss samjhotay kay baad unhain tandoor ki hidat say koi nuqsan nai poonchta. Hum sab ki zindagiyon mein aisay ایسے kai waqiyat ro numa رو نما  hotay hain jin kay baray mein insan siwaye matam kay aur kuch bhi nai kar sakta, humain in halaat kay sath samjhoota kar laina chahiye iss say tanddor ki hiddat tu kam nahin hogi lekin apkay haath nai jalein gay.
ALLAH hum sab ko pareshanion say dor rakhay aur khushian bantnay ki taufeeq ata farmaye (ameen)

No comments:

Post a Comment