Saturday, 28 July 2012

Kahin Na Kahin

     nasha e ishq ka gar zarf dia tha mujh ko 
umer ka tang na paimana banaya hota

  iss jahan e fani mein apnay aziz o aqarib ko kon chor kar jana chahey ga....
kisi piyaray ki mout ka sadma kabhi jan layva sabit hota hai tu kabhi insan ko hamesha kay liye yadoon ki wadi mein dakheel jata hai, Romeo nay juliet ki mout ka sun kar zehar kha li, shah jehan nay mumtaz mahal kay marnay par zindagi say kinara kashi ikhtayar kar li aur apni mohabbat kay yadgar, Taj mahal ki tameer kay liye muztarib hogaya.....
   meray khayal mein mout hamara kisi say taluq nahin tor sakti, kisi kay chalay janay say iss maadi duniya mein aik shakhs ki kami zaroor ho jati hai lekin sher e dil tu usi tarah abad rehta hai.. marnay kay bad rooh tu rooh say milti hai, dil ki zuban mein baatein hoti hain.....hamari yaad mein woh hamehsa mojood hotay hain kahin na kahin.....


   kahin na kahin
iss duniya mein ab tum rehtay nahin
 shehar e dil mein bastay ho kahin

teray chehray ko mudaton say daikha nahin
 per teray naqoosh awaizan hain hawa mein kahin

aik arsay say tu khamoosh hai lekin
   uthti hain gonjain yaad kay mandar mein kahin

wohi afsanay yaad e mazi kay
   yaad aksar chair uthti hai kahin

teri woh muskrahat, bholpan aur nasheelay nain
   usi tarah ankhon mein mahfooz hain kahin

 tum mujh say bechray tu kabhi bhi nahin
bas meri zaat adhori reh gayi hai kahin

  
mout to hum ko juda kar sakti thi nahin
   la zawal taluq bhi toota hai kahin?
 jeena tumharay beghair tu kuch bhi nahin
a jao na lot kar kahin na kahin   

i miss you grand ma <3
   
 

No comments:

Post a Comment