Aj jab mein aik ali-shan bangaly kay samnay say guzra aur meri nazar uski chat pr phalay huay
air-conditioners kay exhausts per pari, tou mujhey aik buhut purani baat yad agayi.
Nazireen yeh baat undinon ki hai jab makan kachay aur dil sachay hua kartay thay. Aj say takreeban 4 saal pahlay hum wahdat colony F-9 mein rihaish pazeer thay. Wahan do kamron kay darmayan aik bhari si khirki thi. Aik kamra sarak ki taraf tha. Sarak ki janib walay kamray main air-conditioner laga hua tha. Aik kamra bachon ko alaut hua wah tha, jab kay dosray kamray pr waldain ka qabza tha. Garmiyon mein bachay saraq walay kamray mein sotay kiyun kay wahan air conditioner ki cooling doosray kamray say nisbatan ziada hoti thi. Jab kay sardion mein bachay andar walay kamray mein sotay kiyun kay wahan sardi dosray kamron say qadre kam thi.
Woh mam baap jo bachon kay aram ki khatir khana badooshon ki tarah kamray badaltay rahtay hain, un ka iss duniya mein koi namul-badal nahin. Zindagi mein har rishaty ka substitute majood hai ma-sawyae mam baap kay. Insan ko apnay say munsalik har ik cheez say kis qadar uns hota hai, tu phir us maa ki apnay bachon say muhabbat ka alam sochein jo usi kay jism ka aik hissa hain. Maa bachay ko apnay khon pr palti hai aur woh asal mein us ki hi reincarnation hota hai.
Meray khayal mein ab in do kamron wali khirki ko munjamid kar dia gaya hai. Is ki jaga kamron kay darmayan ki deewaron aur dilon kay beech kay faslon nay lay li hai.Waldain hamaray sath sirf woh cooling hi nahin share kartay thay balkay hamein apnay wajood ki barkat ki dhandak bhi bakshtay thay.
Privacy kay naam par wajood mein ani wali deewaron nay family structure ko dharam bharam kar dia hai.
Mein nazreen say yehi kahna chahoon ga kay aik bar apni maa ko muskratay huay daikhain ap ko yeh: HD, 3D sab peekhay lagain gay, kabhi apni maa kay agoosh mein lait kar daikhain ap uski thandak bardasht nahin kar sakein gay, apnay baap kay bataye huay mashwaroon par amal kar kay daikhain apko sab counseling departments nakam nazar ayein gay.
tu phir aj say aik baar soch kay daikhain gain na ?

"bHari" = "bari" ghalat ul aam in urdu language
ReplyDeletenazareen is audience .. you have readers .. they are called "qari" so it should have been "qari'een"
about the makan kachay aur dil sachay wali thing .. please write in quotes when you are referring to something that it isn't your piece of work .. P.S. i love faraz
and its not "janab walay" .. janab means "taraf" ..so it couldnt be taraf walay, right? "sarak ki janib kamray mei AC ...." would have been correct
rest is great :D
KUDOS :)
thank you for your critique and next i will try to avoid them
Delete