Tuesday, 15 May 2012

Tarey Zameen Par

   Aj ka baithak school  ka dora meray liye kisi naimat say kam nahin tha, takreeban aik sal pahlay EFA (education for all) ki buniyad rakhtay huay mainey yeh socha bhi nahin tha kay aik din hum kisi ki zindagi badal sakaein gay. EFA kay karkunan aur mukhaiyar hazrat ki madad say hum nay wahan 3 talib e ilm ko aik saal kay liye jab kay 10 ko aik maheenay kay liye sponsor kia hai.
    EFA ki mashoori kay baad ab thori school ki bhi baat ho jaye, pura rasta, mein yehi sochta a raha tha kay logon nay NGO's kay naam par bhi aik fraud chala rakha hai, bayrooni funding par chalnay wali NGO's kay ahalkaroon ki paanchon unglian ghee mein aur sir karahi mein hai. Lekin jonhin hamari gari main road say aik kachi sark par ayi tou uss mein mujood khadon nay mujhey meray khayalon say jinjhoor kar nikal dia, takey mein apni gunahgar ankhon say apnay girdo nawah ka mushaida kar sakon aur yeh sochnay par majboor ho jaon kay mein lakhoon say bahtar zindagi guzar raha hon, aur isi isnah mein hum school poonch chukay thay..
    School ki mamooli si imarat mujhey maroob karnay say kasir thi aur kuch aisa hi haal school ki baki halat ka bhi tha. Wahan na tu koi pur takaluf furniture mojood tha aur na hi koi bari si  pheeri hui moonchon wala gate keeper balkay aik buhut hi muhazab nojawan talib e ilm nay hamara istaqbal kia. Mein tu un bachon par hairan tha kay na janey woh kis khameer say banay huay thay, jahan meray aur meray aziz o aqarib ka aik minute bhi bijli (wapda wali) kay baghair guzarana mushkil tha waheen yahan bijli ka koi tassavur bhi nahin tha, sab say pahla dasta neem kay darakht ki chaoon talay apni taleemi sargarmiyon mein masroof thay. Un say chand qadmo kay faslay par baramday mein do jamatain jari theen aur us say munsaliq do kamron mein parhai jari thi. In bachon kay taleemi mayar ka pata tu un say poochay gaye sawalat kay jawaabat nay hamein day dia tha, lekin unka ikhlaqi taleemi miyar yaqeenan buhut acha tha, woh anay walay ko ba awaz buland assalam u alaikum  kahtay aur jab unhein koi cheez di jati tu woh jazakallah kah kar apnay Rab ka shukria ada kartay, aur un kay mad e muqabil hum thay jo har waqt apnay khuda say shikawa hi kar rahay hotay hain kay uss kay paas mobile ka woh model hai aur mein ap tak iss walay say guzara kar raha hoon, ya uss kay tu saray a* hain jab kay mera a* kay sath sath 2 a bhi hain.......
   Chotay mian Chotay mian baray Mian SUBHAN ALLAH, talba kay aala qirda aur adwar kay bad apko zara asatza kay baaray mein bhi agah kia jaye, woh usi locality say ayi hui jawan larkiyan theen jo iss kay sath  sath apna taleemi safar bhi jari rakhay huay hain, un nay FSC ya BSC ki hui hai aur ab apnay muahsaray ki tarbiyat mein koshan hain, unki taleem ka sun kar meray kanon mein chand jhumlay gonjnay lagay jo yaqeenan ap sab nay bhi sun rakhay hon gay, aksar walideen ka apnay bachon ko A- levels karwanay ka jawaz kuch youn hota hai
  " O-level, A-level karnay say bachon ka horizon buhut broad ho jata hai, woh har cheez ko samajh kay parhtay hain jab kay matric, fsc kay bachon ka woh level nai hota" "Mashallah" O-level, A-level walon ka yeh alam hai kay unko apnay chonchlon say fursat hi nahin woh tu najanay kis kabhi na kahatam honay wali aalmi race mein shareek hain, unkay "broad horizon" nay unko itna ba shaoor shahri bana dia hai kay woh siyasat, falsafa, nafisiyat,muashiat par tu bahas kar saktay hain lekin muashary ki tammer o taraqi mein koi amali hisa nai lay saktay........
   100 bataon ki aik baat, har cheez, har daleel ko chorain sirf yeh sochain kay un bay sahara bachon ki jaga ap ya mein bhi tu ho saktay thay?

2 comments:

  1. mashaALLAH...jasir awesome job...jazakALLAH borther....i pray to ALLAH for the triumph of this mission....Aameen....

    ReplyDelete
    Replies
    1. thank you
      and its the spirit and efforts of people like you which rejuvenates it and keep it alive

      Delete