Mediocre gharon main jab koi kapra purana ho jata hai ya phat jata hai tu usay dusting yani jhar poonch kay liye istemal kia jata hai. wohi kapra jo aik zamany mein khobsarat jism ki zeenat tha aj ghar kay kisi kona main para hua hoga.
Akhir insan aisa kiyun karta hai?
woh kapra ap kay itna kareeb tha kay ap usay apni hasti say juda karnay ka ghuman bhi nahin kar saktay aur phir ap usi kapray say ghar ki cheezon\furniture pr pari hui dhol saf kar rahay hotay hain.Asal mein baat yeh hai kay jab koi cheez malik kay kaam ki nahin rahti, tu woh usay chor daita hai.......is dusting walay kapray ki tarah hamara bhi tou aik Malik hai.
Us nay hamein aik khas maqsad kay tahat paida kia hai baqol shair
dard e dil kay wastey paida kia insan ko
warna tayat kay liye kuch kam na thay karoobiyanAgar ham us kay bataye huey asoolon aur hadiyat say bilkul ghafil ho jaen gay, tu kia hum us kay kam kay rahein gay? nahin na,
wo aisay dil ka kia karay ga jis mein havas, jhooot, badianti, bukhul nay ghar karaye pr lay rakhein hain. Sirf paanch waqt namaz parh kar, rozay rakh kar, zakat day kar hum us maqsad ko hasil nahin kar saktay aur phir in namazon ko mun par maray janay ka wada bhi kia ja chuka hai baqool IQBAL kay
meray khayal mein insan ko yeh sochnay kay liye paida nahin kia gia kay woh kis tarah dosray ko dhoka day kar us say sabqat lay jaye, ya kis tarah dosray ko haqeer sabit kar sakta hai, iss fiqar mein ghulnay ka koi faida nahin kiyun kay Us nay qudrati tor pr baaz ko baaz par baaz cheezon mein fazeelat day rakhi hai. Hamein tu yeh sochna chahiya kay hamaray har amal say kisi dosray ka fiada hoo jaye, agar rah chaltay huay ap kisi ki taraf muskra kar daikh lain tu hoo sakta hai yeh ussay jeenay ki aik nai umeed baksh day us ki takleef ka azala ho jaye.........
aj kal hum nay community service kay naam par aik ajeeb tamasha laga rakha hai, har school mein social service ki societies hain internships kay mawaqah faraham kiye jatay hain lakin in internships ka maqsad insaniyat ki khidmat nahin balkay apni cv ko char chand lagana hota hai. Aj kal tu students kisi ko salam karnay say pahlay bhi poochtay hain kay, "hamein is ka certificate milay ga?" agar is sari community service ka maqsad insaniyat ki khidmat hai tu phir certificate ki khuwaish kaisi, agar yeh kaam ham khalistan apnay malik kay liye kar rahay hain tu, woh tu sab kuch daikh raha hai, kia ham yeh sab certificates lay kar us kay pass jaein gay? nahin, us kay pas tu hamari zindagi ka sara safeed o siyah recorded hai, aur phir us kay hazoor tu yeh dil bhi bol uthay ga kay is ashna sanam ka kia maqsad tha, ham us kay pas apnay amal lay kar jaein gay nay toh hamaray chahray par mohar hogi kay yeh iss university say parha hai, yeh is ghari mein ghomta tha tho phir yeh sari tag o do kis sanam kay liye hai?
sab that para rah jaye ga
jab lad chalay ga banjaraagar hum apnay Rab kay har hukm say moun mor lain gay aur bay-rah-ravi ki zindagi guzarain gay, aisi zaindagi jo havanaon ki zindagi say mushabat rakhti ho, yani sirf apni madi khuwaishat ki parvi karna to phir hum us kay liye dusting walay kapray say ziada hasiat nahin rakhein gay.
abhi bhi waqt apnay malik ki taraf lot jayein aur apnay ap ko us kay kareeb lay jayein
dor da khayal chad, was ankhiyan day kol kol
Allah sab ko seedhay rastay par chlanay ki toufeeq ata farmaye (ameen)

Jo Main Sar-ba-Sajda Hua Kabhi Toh Zameen se aaney Lagi Sada
Tera DiL toh hai Sanam Aashna..Tujhey Kya Milega Namaaz Main
phir aisi mulaqat ka kia faida kay insan bay maqsad hi lotay, Malik nay hamein dard e dil kay liye paida kia hai aisa dard jo jism kay kisi aik hisay mein hoo aur pura jism dard say kanp uthay aur har juz takleef mein barabar ka hisay dar ho, aur puri insaniyat ko aik jism ki tarah banaya hai. Tera DiL toh hai Sanam Aashna..Tujhey Kya Milega Namaaz Main
meray khayal mein insan ko yeh sochnay kay liye paida nahin kia gia kay woh kis tarah dosray ko dhoka day kar us say sabqat lay jaye, ya kis tarah dosray ko haqeer sabit kar sakta hai, iss fiqar mein ghulnay ka koi faida nahin kiyun kay Us nay qudrati tor pr baaz ko baaz par baaz cheezon mein fazeelat day rakhi hai. Hamein tu yeh sochna chahiya kay hamaray har amal say kisi dosray ka fiada hoo jaye, agar rah chaltay huay ap kisi ki taraf muskra kar daikh lain tu hoo sakta hai yeh ussay jeenay ki aik nai umeed baksh day us ki takleef ka azala ho jaye.........
aj kal hum nay community service kay naam par aik ajeeb tamasha laga rakha hai, har school mein social service ki societies hain internships kay mawaqah faraham kiye jatay hain lakin in internships ka maqsad insaniyat ki khidmat nahin balkay apni cv ko char chand lagana hota hai. Aj kal tu students kisi ko salam karnay say pahlay bhi poochtay hain kay, "hamein is ka certificate milay ga?" agar is sari community service ka maqsad insaniyat ki khidmat hai tu phir certificate ki khuwaish kaisi, agar yeh kaam ham khalistan apnay malik kay liye kar rahay hain tu, woh tu sab kuch daikh raha hai, kia ham yeh sab certificates lay kar us kay pass jaein gay? nahin, us kay pas tu hamari zindagi ka sara safeed o siyah recorded hai, aur phir us kay hazoor tu yeh dil bhi bol uthay ga kay is ashna sanam ka kia maqsad tha, ham us kay pas apnay amal lay kar jaein gay nay toh hamaray chahray par mohar hogi kay yeh iss university say parha hai, yeh is ghari mein ghomta tha tho phir yeh sari tag o do kis sanam kay liye hai?
sab that para rah jaye ga
jab lad chalay ga banjaraagar hum apnay Rab kay har hukm say moun mor lain gay aur bay-rah-ravi ki zindagi guzarain gay, aisi zaindagi jo havanaon ki zindagi say mushabat rakhti ho, yani sirf apni madi khuwaishat ki parvi karna to phir hum us kay liye dusting walay kapray say ziada hasiat nahin rakhein gay.
abhi bhi waqt apnay malik ki taraf lot jayein aur apnay ap ko us kay kareeb lay jayein
dor da khayal chad, was ankhiyan day kol kol
Allah sab ko seedhay rastay par chlanay ki toufeeq ata farmaye (ameen)
buhaaaaat acha tha jasir.
ReplyDeleteshukria
ReplyDelete